Sunday, 19 October 2014

Bichade Dost!

Tumhari khushi main apni haasi
Tumhare gum main hoti humari aankhen num
Raahen humari juda juda
Phir bhi taal se taal kaaise mila paaten, aapne kadam?
Saaalon beet gaye tumse baat kiye
barsoon ho gaye tuumhare haal chaal pooche
Phir kahan se chali aati hai yeh muskaan
Labon pe tumhara naam liye?
Mann ka pitara kholun agar
To beh nikalenge jaane kitne haseen kal
Anginat lamhe jinhon bayani humari zindagi
Ya wo ehsaas jisme simmta hai yeh pal !!
To chal pade hum phir se kahin
Naye raaste khojte hue
Dil main tumhari tasveer hai wahi
Sambhaalen rakhenge hum jisse
                                   - Aishwarya Kala

Ek Dastak


Dastak di hai is dost ne,
Dil se tujhe pukara hai..
Mil nahi paate toh kya,
Kuch kam hua pyar humara hai ??

Sochten hain tumhare baaren main
Wo KAL jo humne guzaara tha
Muskaan aajati hai chere pe
Wo PAL bus humara hi humara tha!!

Aiise hi chalte raahon pe
Humshakal kaai mil jaaten hain
Dhoondhten hain tumko unme kahin
Aur phir tumhare khayalon mein kho jaaten hain.

Baaten tumsi jo koi kehta
Phir yaad tumhari de jaata hai
Saada nikalti dua tere liye
Jab bhi khayal tumhara aata hai!!!
 
                                      - Aishwarya Kala